Dedicated To Urvashi Rautela
Pyar kisi say poch kar nahi hota
Urvashi ye to bas ho jata hai.
Urvashi rautela ye tayra sonay jaisa sunehra mukhra
Mujhay aisay lagta hai jaisay soraj ka tukra.

Urvashi tayray chehray pay khaliq ka noor hai
Aisa lagta hai jaisay jalvae kohey toor hai.
Ay urvashi rautela sabit ho jaAy ga k aurat paisay pay marti hai
Duniya daikhay ge k mashoq ashiq say nahi paisay say pyar karti hai.
Urvashi ham ye sabit kar dain gay k tun paisay say pyar karti hai
Duniya daikh lay ge k tun ham pay nahi paisay pay marti hai.
Urvashi rautela ham nay tayri khatir kya kya na kiya
Phir bhi tun nay aik bar hamara naam na liya.
Koi bat nahi urvashi jis say chahay shadi kar
Ham tayray lagtay hi kya hain jo tujhay rokain.
Duniya valo faisla karo aik taraf musalman hai aur dosri taraf hindvani
Aik taraf me khud hun aur dosri taraf meray dil ki rani.
Meray haq me faisla karna aur urvashi k khilaf na jana
Ay dunya valo bohat hi soch samajh kar apna faisla sunana.
Kisi aur ko pati banaAy ge hamain yunhi bhol jaAy ge
Urvashi rautela ye ho nahi sakta tujhay hamari yad aAy ge.
Ay urvashi rautela ham tayray dil me apni jaga bana kar hi chorain gay
Ye jo tun nay ghamand ka khol charha rakha hai ye torain gay.
Ay urvashi rautela tujhay hamari mahabat ki taqat ka andaza nahi hai
Hamari mahabat ki garift say bahar nikalnay ka koi darvaza nahi hai.
Ham tujh say mahabat kartay hain ye dunya ko dikhain gay
Urvashi rautela tayray gam me ham dunya hi bhol jain gay.
Tayray mummy daddy nay bhi tayra itna nam na liya ho ga jitna ham lain gay
Ay urvashi rautela dunya daikhay ge ham tayray nam ko aisa ala darja dain gay.
Urvashi aik taraf crore pati log hain aur dosri taraf tayra ye gareeb ashiq
Ab dunya ko pata chalay ga k aurat kya chahati hai paisa ya pyar.
Ay urvashi rautela mujhay chor kar kidhar jaAy ge
Jidhar bhi jaAy ge tujhay meri yad aAy ge.
Urvashi tujhay ham itna chahain gay k majmay me bhi tujhay hamari kami mehsos ho rahi ho ge
Urvashi rautela tun logon ko dikhanay k liye hansay ge par andar say ro rahi ho ge.
Urvashi wo bhi to aurtain hain jo kehti hain hamain koi pyar karnay vala milay
Jab k aik tun hai jisay hamaray pyar ki koi qadr hi nahi hai.
Urvashi tun hamari jan lay kar hi rahay ge
Phir ye dunya tujhay aik qatil haseena kahay ge.
Sanam me bohat manata hun par ye dil nahi maanta
Kehta hai mujhay urvashi chahiye me kuch aur nahi janta.
Urvashi mujhay aurton ki kami nahi me shairey Pakistan hun
Me koi borha baba nahi abhi to me javan hun.
Logo aik nazar urvashi ko daikh to lo
Phir tum jaan jao gay hamaray pagal honay ki vajah.
Urvashi rautela kaisay hal hoga ab ye masla
Na khuda maanta hai na tun maanti hai.
Urvashi mera dil koi mandir nahi jahan aik aurat aAy aur aik jaAy
Ye urvashi devi ka takt hai jis par sirf urvashi devi jalvay dikhaAy.
Teri har har ada pay laakh baar qurbaan
Ay urvashi rautela tun farishta hai ya insan.
Kitna farq hai ham dono k dilon me ay urvashi
Meray dil me tun hai aur teray dil me koi aur.
Urvashi apni sorat ki koi aur dikha day shayad mera dil dhoka kha hi jaAy
Us ko apni urvashi samajh kar thora us k qareeb A hi jaAy.
Ay tabeebo zara jaldi Aao meray marz ka pata lagao
Urvashi ko daikh kar hosh kho betha hun mujhay hosh me lao.
Urvashi jab tak anso khatam na ho jain tab tak tayri yaad me rota hun
Jab anso khatam ho jatay hain to dil ko jhoti tasali day kar sota hun.
Mujhay janvar nahi insan pasand hain.Bhalu Baglol.
Ay urvashi rautela tabeeb tujhay aik nazar daikh lain to khud mareez ho jain
Tujhay daikh kar hosh kho bethain churi haath me ho to apnay hi hathon par chalain.
Kon kehta hai khuda arsh par hai me to kehta hun tujh me nazar ata hai
Urvashi jab tun zara ban sanvar kar nikalti hai to wo tujh me zahar ho jata hai.
Urvashi ja kar daikh zara pagal khana aksar vahan devanay hotay hain
Ishq nay jin k hosh ura diye hon aisay mastanay hotay hain.
Urvashi rautela tujhay daikh kar meri aqal ghas charnay lagi hai
Pehlay ishq aqal say darta tha ab aqal ishq say darnay lagi hai.
Shehvat aqal ko magloob kar dayti hai aur ishq shehvat ko magloob kar dayta hai.ARK.
Urvashi rautela jis mandir me tun na ho us mandir me kya jana
Sanam wo baagh hi kya jis me phool na ho tujh jaisa suhana.
Khuda k sath kisi aur ko shareek tehranay say shirk ho jata hai
Yehi vajah hai urvashi jo me tayray sath kisi ko shareek nahi tehrata.
Ay urvashi Rautela khuda k sath kisi ko shareek tehranay say shirk ho jata hai
Mera khuda to tun hai to phir kisi aur aurat ko tayra shareek kaisay tehraon.
-------------------------------------------------------------------------
Abad-ur-Rehman Khan Proposing Urvashi Rautela
Best Proposal Ever
Urvashi ya meri ho ja ya mujhay apna bana lay
Meray sath ya phayray ley lay ya nikah parha lay.
-------------------------------------------------------------------------
Ay urvashi rautela lay dobay hamain tayray yaranay
Ham bhar rahay hain tayray pyar k jurmanay.
Ab kya tujhay mananay k liye paon me ghongro baandh kar nachun gaon
Urvashi rautela kya khud bhulay shah ban jaon aur tujhay shah inayat banaon.
Urvashi je roti bhi paka layti ho ya sirf nachna ata hai
Abad-ur-Rehman Khan mashriqi larka hai gharelo aurat ko hi dulhan banata hai.
Urvashi tun itni bhi haseen nahi jitni ham tayri tareef kartay hain
Sanam ye to hamara ehsan hai k ham tujh pay martay hain.
Urvashi me tujhay tableeg nahi karna chahata sirf itna bata day k logon k samnay nachana gana kaisa hai
Urvashi rautela meri bat ka bura na manana kahin aisa to nahi k teyra falsafa sirf kamana paisa hai.
Urvashi ja poch un aurton say jo chahati hain k un ki bhi koi tareef karay
Jo bay chari intezar karti hain k hamara bhi koi hamdard ho jo hamara ehsas karay.
Zara matak matak k chali husn ka taaj mila to tun havaon me urnay lagi
Urvashi rautela yaad rakh havaon me urnay valay bhi akhir zameen par hi atay hain.
Urvashi kabhi apni zaban say pyar say Abad ka nam bhi bool
Kyun Abad say khafa rehti hai apnay dil ka darvaza khol.
Urvashi rautela ham sain honay k bavajod tujh pay meharban hain
Ye kya mamoli bat hai k ham tayray qadardan hain.
Urvashi Abad say pyar karay ge to teyra husn qaim rahay ga
Tun samajhti kyun nahi yunhi chamakta damakta narm-o-mulaim rahay ga.
Ay urvashi rautela do din ki zindagi hai aur ye husn fani hai
Janay man Abad ki banhon me A ja dono pay abhi javani hai.
Meray kehnay say to mera ye dil nahi maanta
Urvashi tun samjha shayad teray kehnay say maan jaAy.
Hazrat yousf milay to sirf itna hi kahun ga un say
ik nazar urvashi ko daikh lain phir khud faisla kijie ga.
Urvashi tun shayad pichlay zamanay me yousuf ki kaneez rahi hogi
Tabhi to husney yousuf ka aks tujh pay A para hai.
Urvashi ab to hamara dil bhi hamain dhamkanay laga hai
Kehta hai urvashi na mili to dharakna chor dain gay.
Abad ka miyar itna gira huva nahi jo kisi mamoli larki ko mashoq bana lay
Urvashi Abad itna bhoka faqeer nahi jo rastay me gira hova har moti utha lay.
Ay urvashi jidi tareef abad karay o koi mamoli sheh ho hi nahi sakdi
Ay log ki janan kagaz de kashti kadi vagday darya vich khalo hi nahi sakdi.
Me nalaiq hun meri mashoq urvashi zaheen hai
Me kuch bhi nahi hun urvashi haseen hai.
Ashiq ko kainat me nahi sirf apni mashoq me dilchaspi hoti hai.Bhalu.
Har taraf tun hi tun hai aur meray dil ko sakoon hai
Urvashi ab tun hi meri zindagi aur tun hi janoon hai.
Urvashi dil to karta hai tujhay tasveer say bahar khainch lun
Phir sochta hun k pyar me khencha tani achi nahi hoti.
Ay urvashi rautela meri jaan mahabat ka yehi to ik faida hai
Kabhi ashiq mashoq k pehlo me kabhi mashoq ashiq k pehlo me.
Urvashi ki mahabat nay mujhay giraftar kar liya hai
Kya koi vakeel hai jo meri zamanat karaAy.
Urvashi rautela me bhi bhalu hun chotay bachon ki tarah meray sath khail
Kabhi gudguda kabhi jholi me bitha kabhi mujhay saath lita aur kar mail.
Urvashi rautela me tayray pyar ka bhoka hun meri bhok mita
Apnay husn ka chopra huva garm garm taza taza paratha khila.
Urvashi rautela me hansi mazaq karta hun takay teri yad na aAy
Haqeqat to ye hai k teri yad mujhay andar hi andar say khaAy.
Urvashi ham nay suna hai mahabat k mamlay me aurat ka dil jhot nahi bolta
Aik bar apnay dil say poch to sahi k Abad ki mahabat sachi hai ya nahi.
Urvashi rautela tun vatan parasti karti hai aur mahabat parasti tujhay yad nahi
Jis ka dil kabhi Abad tha ye Abad ab wo wala Abad nahi.
Ay urvashi rautela tun sirf itna mujh pay ehsaan kar day
Han ya na me javab day kar mera jena asaan kar day.
Urvashi mera dil teray pyar ki azaan day raha hai
Sanam ab tun hi bata namaz parhun ya qaza karun.
Sorat achi ho to libas bhi acha lagta hai
Jo bhi rang pehno wo jachta hai.
Urvashi tun khud say mahabat karti hai leykin mujh say mahabat nahi karti
Daikho dunya valo aisi khud garz aurtain bhi huva karti hain.
Hamari sakhavat ka alam to ye hai k ham nay tujhay sab kuch ata kiya
Urvashi teyri kanjoosi ka alam ye hai k ik han me javab bhi na diya.
Urvashi actress bhi aurat hoti hai tun apnay dil say poch to sahi
Poch apnay dil say kya abad tujh say mahabat ka jhota natak kar raha hai.
Urvashi meri tareekh sachai par mabni hai chapa chapa sacha hai
Mujhay kya zaroorat hai jo teray sath mahabat k mamlay me jhot bolun.
Urvashi tun apnay dil say is liye nahi pochti kyun k ye tujhay sachai bata day ga
Abad-ur-Rehman Khan tujh say kitni mahabat karta hai ye tujhay misley aiena dikha day ga.
Ay urvashi teray dil ki adalat me abad ki mahabat ka case aya hai
Apnay dil say poch kya ham pagal hain jo ham nay ye majra sunaya hai.
Urvashi ya tun faisla kar ya phir dunya khuda faisla karay ge
Kis nay vafa ki aur kis nay ki bay vafai.
Ay urvashi kahan me musalman aur kahan tun hindvani
Kya me pagal hun kya khud say garh raha hun kahani.
Urvashi tujh say pyar karta hun to kehta bhi hun
Jo dard mujhay hota hai ye sehta bhi hun.
Urvashi tun jis khuda ko bhi maanti hai us khuda say hi koi faal nikalva lay
Suna hai mahabat k mamlay me jhotay khuda bhi faisla sach hi sunatay hain.
Kahan mujh jaisa mazhabi larka aur kahan teyri tareef me ye ashaar
Ay urvashi rautela mujhay bata kya ye sab jhot hai yaar.
Ay urvashi kabhi dosron ko samjhata tha abad k pyar vayar kuch nahi hota
Aaj apnay hi andar say awaz ati hai k pyar hi sab kuch hota hai.
Ay zameer valo zara apnay zameer say pocho
Kya koi mahabat k bagair itna sab kuch kehta hai.
Kahan suba sham musalmano ko samjhata tha aur ab teray siva kuch sojta nahi
Kahan suba sham khuda khuda karta tha aur ab teray siva kisi ko pojta nahi.
Ay urvashi ay urvashi ay urvashi
Ham teri mahabat me mareezey dil ho gaAy.
Urvashi teray naam k sath kya jura naam hamara hamain bhi meraj honay lagi
Urvashi ye jo dil ki dunya thi salon say pyasi ye seyrab honay lagi.
Kis adalat me jaon aur kis ko vakeel banaon
Urvashi nay mera dil chori kiya hai kis thanay me report likhvaon.
Ab to molviyon ko bhi moqa mil jaAy ga mujhay tableeg karnay ka
Urvashi mujhay qurani ayaat sunanay ka aur dalail day kar larnay ka.
Mujhay garv hai urvashi k tun nay mera dil choraya hai
Abad-ur-Rehman Khan jaisay musalman ko kafir banaya hai.
Ab suna Abad tun to kehta tha me hun musalman
Aik hindvani ko kehnay laga gaya hai apni jaan.
Na ham kisi molvi ki suntay hain aur na hi sun'na chahatay hain
Hamary paas faltu waqt nahi hota ham to urvashi k geet gatay hain.
Urvashi tun hi mera nagma hai tun hi mera geet
Tun hi mera pyar hai tun hi meri jeet.
Ja oay Abad ik hindvani da samna na kar sakya
Tun sara kuj luta betha onay ik nazar ki takya.
Abad-ur-Rehman Khan tun koi majnu nahi pathar khanay valay kaam na kar
Urvashi nahi kahay ge koi pathar say na maray meray devanay ko.
Urvashi teri yadon k saharay jetay hain
Shoq say nahi majboori say petay hain.
Urvashi ham nay tayri khatir dunya bhula de aur tun nay hamain bhula diya
Ay bay vafa ay sangdil sanam tun nay hamaray pyar ka hamain ye sila diya.
Ay urvashi sochna bhi na k ham tujhay bhol saktay hain
Ye nahi ho sakta phansi k phanday pay jhol saktay hain.
Ay urvashi rautela hamara nahi to kam az kam apna hi khiyal kar lay
Phol k saath kantay na hon to har koi haath lagata hai.
Ay urvashi rautela dil to karta hai tujhay hath laganay valay ka hath hi toor dun
Phir sochta hun jab tun khud hath lagva rahi hai to us ka kya qasoor hai.
Ham usay daikhna chahatay thay par wo nazar na aie
Kuch raftar hamari kam thi kuch us ki taiz thi.
Kya larki hai tun kya hansti hai kya roti hai
Urvashi Abad k hotay hovay tun kyun akayli soti hai.
Reply to Urvashi Rautela
Hey Halloo This is ARK
Urvashi tun milna chahati hai to theek hai A mil zara
Tujhay bhi pata chal jaAy ga bhalu shah hai banda khara.
Ay urvashi rautela ab daddy mummy say bhi nahi darna hai
Ab chup k nahi jo karna hai sarey aam karna hai.
Ham love scene nahi daikhain gay apna love scene banain gay
Urvashi English film ko chor ham apni live film chalain gay.
Ay urvashi tun kehti hai to teray sath do batain karun ga gandi
Par tun vada kar is k bad ban jaAy ge khuda ki bandi.
Urvashi rautela tun kisi aur k sath chipkay ye ham daikh nahi saktay
Yehi vajah hai jo ham teri filmon say door rehnay lagay hain.
Visit www.Tasawur45.blogspot.com